Sawan ka mahina

Sawan ka mahina bahut hi sundar or manmohak mahine hota h . Is mahine me bahut saare tyohaar aate h . Is mahine me khub baarish hoti h or hariyali bhi chaa jati h log bahut khus rehte h kyo ki kissano ke baarish ho jati h. Kissan apne kheto me fusal beej dete h ye mahina vese to bhagwan shiv ke liye hota h is mahine me log bholenath ki bahut pooja krte h  is mahine me log dur dur se kawad yatra lekar aate h or bholenath ke shivling pe jul arpun krte h or bholenath se apni apni manokaamnaye maangte h bhola bhi hmesha unka sath deta h. Or is mahine me ek teej tyohaar bhi aata h ye tyohaar hariyali ka prateek hota h . Orte is din nayi nayi poshake pehanti h or ber ke ped ki pooja archna krti h or bahut sari orte ek sath hoke jati h or sab jhule khati h khub mje leti h or is mahine bhi ek tyohaar rakshabandhan aata h ye bhai bahin ke pyar ka tyohaar hota h isme bahin bhai ki kalai pr rakhi bandhti h .bahin bhai ke raksha ke liye haat pr rakhi bandhti h sawan mahine me bahut hi hariyali cha jati h .is mahine me charo taraf hariyali cha jati h is mahine me kisaano ke muh pr khusi ki jhalak cha jati h is mahine me khub baarish hoti h log baarish ka khub mja lete h is mahine me khusi ka mahol cha jata h hariyali hmare desh ki shaan hoti h. Isme log kheto me jate h or vha pr khub mje lete h or khub naachte h gaate h log gaadiyo se gumne jate h





Comments

Popular posts from this blog