Ek majdur ka jivan

Majdur ve log hote h jo mehnat krke kamaate h unko mehnat krne pr hi pesa diya jata h .Bethe rehne pr unko kuch bhi nhi diya jata. Vo bahut hi mehnat krke apne bucho or ghar parivaar ka paalan posan krte h. Vo din bhar khub kaam krte h tab jake unko pesa milta h un peso se vo saam ko ghar me khane peene ka saaman laate h. Jo insaan mehnat kr skta h vo is duniya me kbhi bhi bhuka nhi mar skta is duniya me mehnat krne vala majdur hi hota h  Vo apne pasine ki kamai se apna ghar chalaata h . Is duniya me majdur kai tarah ke hote h.sabse bda majdur kisaan hota h . Vo din bhar dhup me apne khet me mehnat krta rehta h  aese hi puri saal mehnat krta h  tab jake uski fusal hoti h or usko apni mehnat or pusine ki kamai milti h  or bhi kai tarah ke majdur hote h jese ki beldaar vo bhi saare din dhup me kaam krte h tab jake vo subah 8 bje aate h or saam ko 6 bje tak kaam krte h tab jake unko 300 rupay diye jate h  vo un peso se apna ghar parivaar chlaate h .un logo ki aarthik isthati kamjor hoti h unka koi jivan nhi hota vo to keval apne din gujaar rhe h unko zindgi ka koi matlab nhi hota. Unka kaam to keval kamaake apne bacho ka paalan posan krna hota h. Vo apni saari zindgi kamaane me hi gujaar dete h unko kuch nhi milta phir vo kamaate kamaate budhe ho jate h .vo keval apne bacho ke liye kamaate h vo ye nhi chahte ki apne bache bhi apni tarah dukhi rhe or unko bhi apni tarah hi tadfna pde  .vo kamaake apne bacho ko achi siksha dilate h  vo apni kamai un pr hi khrach krte h unt me jake vo budhe ho jate h vo kamaane me asmarth ho jate h tab jake apno bacho ko kamaane ke liye kehte h .Phir unke ache bache budhape me unko sukh dete h thode dino bad ve mar jate h .Ek majdur ka jivan dukho se bhra huaa rehta h  or jinki aarthik istathi kamjor rehti h ya pita bachpan me hi gujar jate h or privaar ka pura bhaar unke upar hi pad jata h tb unko bachpun me hi kamaane ke liye jana padta h koi hotel๐Ÿจ pe jata koi or kahi jata h aese krke unka jivan sankat me pad jate h



Comments

Popular posts from this blog