A seen of filed spray💦

Kheto me Keetnaasak davai ke chidkav ka darshay. June- july ke mahine me jab baarish ho jati h tab hum sab apne kheto me fusal ki buvai kr dete h. Thode dino bad jab fusul thodi thodi budh jati h to usme fusal ke alaava or bhi khi tarah ke kharputvaar sath me ugg jate h . Pehle ke time🕒 me to unko haato se bhar nikala jata tha. Lekin ab kheto me kaam krne vala koi nhi h is liye us khurputvaar ko mitaane ke liye dvai ka chidkav kiya jata h jis se khet me anavsyak podhe samaaput ho jaye. Pehle ke samay me esa koi purbandh nhi tha pehle is ko hutaane ke liye bahut mehnat krni padti thi. Lekin aaj kal thode se samay me inko htaya ja skta h. Pehle bahut mehnat ki jarurat hoti thi lekin ab bahut saare peso ki jarurat hoti h. Pehle ke samay me logo ke pas bahut hi kam pese the kyo ki sab log berojgaar rehte the or itni aamduni bhi nhi thi .phir thode din bad jab fusul or badh jati h to usme faal aane ke liye or dvai ka chidkav kiya jata h jis se fusul me or adhik dhaan praapat kiya ja ske lekin in sab ke liye bahut hi peso ki jarurat hoti h Kyo ki ye sab krne ke liye peso ki jarurat hoti h . Pehle to is dvai ka chidkav log haato se krte the pehle ke samay me log peeth ke peeche baandhne ki ek tanki aati thi jo lug bhug  15-16 ltr ki hoti thi us se dvai ka chidkav krne me bahut samay lgta tha lekin ab aadhunik samay ke hisaab se tractor🚜 ke piche ke troli me ye sab rehta h jis se dvai ka chidkav krne me bahut kam samay lgta h. Usme 3 tunkiya lgi hoti or ek pump⛽ lga huaa hota h or bahut hi lambi pipe hoti h .pipe ke aage ek phoonvaara lga huaa hota h .usko ek aadmi pakad lete h or 3.4 aadmi piche us pipe ko pakad lete h or ek pipe ka muh us pump se jod diya jata h  Or us pump ka football us tank me daal diya jata h phir usko tractor🚜 se jod diya jata h or Tractor🚜 ko chaalu kr diya jata h  phir pump us tank me se dvai khinchke pipe me bhej deta h pipe me se us fuvanre me chli jati h ek aadmi us ko pakad ke khet me dvai ka chidkav krta rehta h us se bahut hi ache tarike se chidkav hota h is me laagat bhi bahut kam aati or samay bhi bahut hi kam lgta h is tarah se humare yha dvai ka chidkav kiya jata h

Comments

Popular posts from this blog