A  SCENE OF AJMER CITY🌇

Ajmer city ka darshay.  Ajmer city ko smart City ke naam se bhi jana jata h. Ajmer ek Jane maane nagar ka naam h isme bahut saare Daarshnik isthal h .Ajmer city me ek gande paani ki jheel bhi jise aana sagar ke naam se jana jata h is jheel ke beech me ek hotel h  .yha saam ko bahut saare log gumne aate h is jheel ke pas me thandi thandi hawaye chalti h log saam ko or raat me vha beth us hava ka aanand lete h vha pr khub khane peene ki chije bhi milti h. Ajmer city🌇 ke andar bde bde hospital🏥 bhi h vha bahut saare marij aate h. Vha pr ek maharshi dayanad vishav  vidhyalya🎓 h . Bahut saare coaching sansthan bhi h. Vha padhne bahut saare bache room kiraye pr leke rehte h . Ajmer me Khawaja moinudin chisti ki dargah h jo pure Bharat me ek maatra h  Or yha pr ek dhai din ka jhopda bhi h yha pr bahut saare log aate h  . Ajmer city🌇 me ek birla city water💧 park bhi h vha pr bahut mja aata h log dur dur se vha pr nhane ke liye aate h. Ajmer city me gumne ka bahut mja aata h vha pe ek railway🚄 station🚏 h Ajmer ka darshay bahut hi khatarnaak darshay h  Ajmer ke pas me ek pahaad h isme ek ghati h jiske beech me ek road gujar ti h jo pushkar ki taraf gujarti h  us pahadi pr Maharaja ptatap ka smark h .Ajmer me bahut hi bde market or mall has or yha anek prakar ki kallakrtiya bhi h yha sabhi prakar se ye pargatishil city h
       AJMER CITY🌇 IS SMART CITY



Comments

Popular posts from this blog